Friday, October 09, 2009

188. Aabshaar VII

1. Fear of death by love?!

hame khauff hai bhi to ishq me jaan ganwaane ka nahin
bas darte hai is silsile me kahin jannat naseeb na ho jaaye

2. Can I call you in the evening when you are free?

Kabse bejaan hain guftagu se mehroom galiyaan meri
aur aap aawaaz chidak-ke jaan phoonk-ne ki ijaazat maangte hain?

3. The craving for that smile

rah rah-ke kabhi muskura de zaalim
ke mere hisse ki sukoon khatm hone ko hai

4. You never call only!!

sabab-e-sukuut poochte to pata chalta
kis nazm me jaan phansi hai meri

5. The silence that ensued!

der se hi sahin khamoshiyaan jalaa de zaalim
kuch kam raaten nahin guzri, karvaton ka hisaab karte

6. The unpredictability

uski muhabbat bhi kisi begaane mausam ka mohtaaj hai
kabhi rah rahke jalti dhoop aur kabhi bevajah kohra

7. Those who see the poetry, seldom notice the poet! I protest!!

sochte hain alfaazon ka naqaab utaar hi de ab
khamoshi ke bahaane hi sahi deedar kar loge hamara

1 comment:

Sunny said...

as always...awesome!